Nahi banna desh ki beti mujhe

Na banna iss desh ki devi mujhe

Khada hona apne pairon pe khudse

Kya itna bhi nahi manzoor tujhe

Thakk chuki hoon bas

Aur kitni yeh awaaz dabaaoge

Jabh ghut ke mein marjaaongi

Kya tabhi tum mujhe apna bataaoge

Meri jaan ki keemat hi sirf tabh hogi

Jabh mujhe kisi mard ka rishtedaar banaya jaayega

Meri saans mein aazadi sirf tabh hogi

Jabh iss soch ko mitaya jaayega

नहीं बनना देश की बेटी मुझे

नहीं बनना देश की देवी मुझे

खड़ा होना है अपने पैरों पे खुद से

क्या इतना भी नहीं मंज़ूर तुझे

थक चुकी हूं बस

और कितनी यह आवाज दबाओगे

जब धुट के मैं मर जाऊंगी

क्या तभी तुम मुझे अपना बताओगे

मेरी जान की कीमत ही सिर्फ तब होगी

जब मुझे किसी मर्द का रिश्तेदार बनाया जायेगा

मेरी सांस में आज़ादी सिर्फ तब होगी

जब इस सोच को मिटाया जाएगा